CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Wednesday, January 26, 2011

gandhi aaj bhi prasangik hain

30.1. ke liye
in dinon kuch gyan gumani log mahatma gandhi ke bare mein tarah tarah ki batein kar rahe hain. isasw unke sambandh mein galat aklan hone aur galat sandesh jane ka khatra badh raha hai. abhi hal mein ek angregi patra ke ek varistha stambhkar ne likha tha ki "gandhi ne kuchlogo ko hi kurban hone ke liye uksaya tha" lekin shyad unhe nahin maloom ki beshak ahinsa ke pujari the par we kayarta ke prachand virodhi the". gandhi ahinsa ke samarthak the to saath hi rajnitik neta bhi the.yadi bapu ki nitiyan galat hotin to neharu, patel aur lakhon bhartiya varshon tak unka anusaran karte. aaj gandhi ke bare mein dushprachar hi hai ki hamara naitik mulya girta ja raha hai. aaj unki punya tithi hai. prathna sabha mein golion se bidha unke shav ke shonit ki ushnata ko aaj ke pragatisheel nahin mahsoos kar pa rahe hain. baba nagarjun ne gandhi fe tino bandaron ko pratik banakar likha hai
bapu ke bhi tau nikle tino bandar bapu ke
saral sutra uljhau nikle tino bandar bapu ke
sachmuch jeevan dani nikle tino bandar bapu ke
gyani nikle , dhyani nikle tino bandar bapu ke

yah sahi hai.jab tak bapu the ye aankh , kan , muh band kiye baithe the aur jaise hi unka tirodhan hua ye sab wahi karna shuru kar diye jiske liye unhone mana kiya tha.aadarsh ghotala ho gaya aur dalit "raja " ek lakh 76 hazar karor ka ghotala kar gaya.aam admi jiske sath mil kar bapu ne aazadi ki jang ladi thi wah bhookhon mar raha hai aur hamare pradhan mantri kah rahen hain ki mahangai ke badhne ka karan hai ki aam aadmi ke paas bahut paisa aa gaya hai. bapu ne kaha tha ishwar allah tere nam lekin yahi log dange phasad karwa rahe hai. hindu jo udar wadi the unke sant visphot karwane ke jurm mein jail ja rahe hain.abhi hal mein ek vidvan ne kaha ki gandhi hitlar ke samarthak the.pata nahi wah kaun si paristhiti thi lekin chunki gandhi rajnitigya bhi the atah ho sakta hai ki kisi mauke par dushman ke duhman ki peeth thok di ho. lekin 26 nov.1938 ke harjan ke ank mei unhone yahudion ke fatle aam fi ninda karte hue likha tha ki hitler ke is kritya ki itihas mein misal nahin hai. purane dino ke aatyachari bhi is had tak tak nahin pahunche hain. unhone yudha ki ninda karte hue kaha hai ki is par we bharosa nahi karte. jis mahine gandhi ne yah likha tha usi mahine winston churchil ne house of commons mein kaha tha ki yadi ham yah jung har jate hain to ham chanenge ki duniya ke samne hamara adhikar aur pad dilwane ke liye hitlar ki tarah koi neta ho. gandhi ki sabse badi khubi thi ki unhone anyay ke samne kabhi ghutne nahi teke. aaj ke mahul mein gandhi isiliye prasangik hain. aaj unki punya tithi hai, kewal unhe yaad karna jaroori hahi hai balki unke charita ko apnana jaroori hai.

1 comments:

Anonymous said...

Sweet blog! I found it while surfing around on Yahoo News.
Do you have any tips on how to get listed in Yahoo News? I've been trying for a while but I never seem to get there! Thanks


anit wrinkle cream