CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Wednesday, January 26, 2011

lagatar bhrashtachar asafal sarkar ka lakshan hai

29.1. ke liye
aaj ek sawal sabse aham hai ki kya hamara naitik aabhamandal sikud gaya hai? lekin yah samasya kewal ucch madhya verg tak hi hai. shyad aam admi ke saath ye mushkilen nahin hain kyoki ki wah apnna wajood kayam rakhne ke liye badhti mehengai aur girte samajik mulyon se joojh raha hai. uska naitik vishwa yathwat hai. jin logon ke naitik aabhamandal sikude hai unme shamil hain hamare rajnitigya aur unke chamche, afsar, police karmi aur benam shala wale kuch fauji afsar.sarkar ka prastawit bhrashtachar nirodh kanoon ko lekar kai sawal uth rahe hain, maslan vartman bhrashtachar nirodhi kanoon ko sarkar ne lanchchit mantriyon par kyon nahi lagoo kiya. kyon kuch mantri pad chchodne ko badhya hue unhe dand kyon nahi diya gaya. aarthik udarikaran ke lagbhag do dashk gujar gaye, jab tak rajnitik sudhar nahi hoga tabtak aarthik udarikaran ka labh garib logon tak nahin pahunch payega.rajnitik aur vyaparik santh gath tatha unme dalalon ki chalti ne sare labh ko sokh liya hai. bharat mein garibi ka karan aarthik sushsan pat rajnitik sushashan ka abhav. jab tak aarthik sushshan ko siyasi samarthan nahi hasil hoga tabtak garibi aur amiri ki khai badhti jayegi. dar asal shirsh siysi netritva shashan ka maapdand taya karta hai aur yadi wah maapdand chhota hai to bhrashtachar samast shashan ko bhrasta kar dega.hamare rajnitik sansthan ki ujjawal karne ke liye tin sudharon ki jaroorat hai we hain police , nyaya palika aur chunav. san 2006 mein suprem court ne police aayog ke liye aadesh diye the aur use rajnitik dabav se mukta rakhne koaha tha. par aaj tak uspar amalahi hua aur yadi kahin hua bhi to aadh adhura. suprem court ki koshish thi ki police par sarkar ka niyantran na rahe. isase wah rajnitgyon ke haath ka khilona ban kar rah jati hai. nyayaik pranali mein sudhar hamare rajnitik sansthano ki saakh banaye rakhne ke liye doosari badi jaroorat hai. is dish mein bhi koi ullekhaniya karya nahi ho raha hai. logo mein nyaya ke pr4ati aastha uthti ja rahi hai. isme sudhar ki avilamb jaroorat hai. tisri avashyakta hai chunav sudhar. kala dhan aur rajniti ke apraadhi karan se avanchhit log isme aa jate hai aur uske baad karkar par dabav banate rahte hai. lagatar bhrashtachar asafal sarkar ka lakshan hai. hamare mahatvapurna sansthano ko rajnitik niyantran se bahar kar shashan 2011 ko yek yadgar sal bana sakti hai

0 comments: