CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Tuesday, January 25, 2011

Ekta yatra ko rokna galat

28.1. ke liye

bhartiya janta party ki ekta yatra ko srinangar pahunchane se rok diya gaya aur netao ko giraftar kar liya gaya. bhavnatmak pahlu se iskekai kon ho sakte hain jaise suhma swaraj ne kaha ki "tiranga fahrane walon ko giraftar kiya ja raha hai aur use jalane walon ko suraksha di ja rahi hai".lekin iska ek siyasi pahlu bhi hai. wah ki umar abdulla is desh ke ek rajya ke mukhya mantri hai ya kewal jammu kashmir ke.ekta yatra ka chahe jo hasra ho par umar abdulla ek c.m. ke taur par nakara sabit hue hain.unke rajnitik aur prashskiya kadmon ne bjpko wah karne ka vichar diya jo use nahin soojh nahi raha tha. is tarah ke achranne umar ko hi hani pauncha rahe hain.isme ek antarsambandh bhi hai.ghati kafi fasad se gujar rahi hai.is karan se ilzam laga dena saral hai. all paarty hurriyat conference aur islami redicals ke kabje men hai aur ise niyantrit karne walesarhad ke us par baithe hain saath hi unpar dilli mein baithe budhijivion ka bi asar hai.sach to yah hai ki ghati mein andolan wahan ke ke c.m. ko badlne ke liye ho raha hai. aaj bhi umar ko ghati ke log, jinhone unhe chuna nahi hain, bhi apna nahi mante. bjp ki ekta yatra ek aabadi ke vicharon ka pratnidhitva karta hai lekin aisa nahi kaha ja sakta hai yah rashtriya vichardhara hai.us mayne mein is yatra ke prati rashtriya bhavna 1992 ki murli manohar joshi ki ekta yatra se bilkul alag hai. us samamay wahan rashtrapati shashan tha aur kuch logo ko vayu marg se lakar sanketik taur par tiranga fahraya gaya tha. umar bhi iska labh utha sakte the. we chahte to kafi pahre mein is yatra ko anumati de sakte the jo bahut kathinunhe un kashmirio ki sahanubhuti bhi mil gayee jinhe vastutah hinsa se koi l nahin tha aur sara thikra kendra sarkar ke mathe par phor sakte the. sath hi we intifida ke larakon ko sandesh bhej sakte the ki unki kisi bhi karvayee ka jordar mukabala hoga. aab tak umar rashtra se aur janta yah kahte rahe ki unhe kashmir mein kuchh karna chahte hai.jin kashmirion ko hinsa se matlab nahi hai unki sahanubhuti bhi mili. ab unhone apni taraf umarne varta ke raste band kar diye.sri nagar mein baitha c.m. kabhi kewal sunta NAHI RAH SAKTA HAI balki use setu ki bhumika nibhani padegi. aab ghati mein bjp ko anumati nahi dekar umar abdulla ne phir ghati kendrit drishtikon apna liya hai. umar abdulla ko maloom hoga ki yahan bjp ki pakad kamnahin hai aur us yatra shyad kuch ashubh nahi hota. kya karan hai ki wahan ek jan sabha nahi ho sakti hai.

0 comments: