aaj hamara ganatantra divas hai...61wan gantantra diwas. halanki itihas mein 60 ya 61 ya 62 varsh bahut badi awadhi nahin hai par kisi sashan vyavastha ke liye ise kam bhi nahi mana ja sakta hai. samvidhan ki kitab mein har aam o khas k0 sari suvidhaen mil gayeen, maslan asali aazadi, buniyadi adhikar itydi-ityadi. par sach inse bahut door hai. hakikat ki thos dharatal par yadi dekhen to lagega ki hamare desh ki ek badi aabadi abhi bhi gulami ki zindagi basar kar rahi hai. inhe na vastavik aazadi mili, na adhikar aur nazaroorat padne sahi nyay. yah bat kitabi nahi hai balki hakikat hai. aap khud dekhen bachche bandhua mazdoori karte hain, unhe padne ko kitab nahi milti, khane ko ko do joon roti. in dino schoolon mein jo dopahar ka khana miltauski matra aur gunvatta ka tobhagwan hi malik hai saath hi jo dene aur katar mein khada karne kabhav hai vah bheek dene ki manind hai. sawal hai ki niwala sammaanjak hai athwa nain. we padhne to jate hain par padh nahi pate. bachpan mein hi bade ho jate hai aur mazdoori kaerne bhej diye jaate hain. mahilaon ka shshktikaran ki baat jab aati hai to hansi aati hai. jo apne mamooli hak ke liye bhi sangharsh nahi kar sakti hain. hamesha poorooshon se pratadit hoti rahati hain.jahan tak nyay ka sawal hai aam aadmi konyay nahi milta. police aur nyaypalika dono bhrast ho gayen hain. apradhi paise ke bal par chhoot jata hai. apradh ka karobar din doona aur raat chuguna badhta ja raha hai.agar yah kahen ki hamari vyavastha mein apradh ne jad jama liya hai to atishyaokti nahin hogi.
in sare julmon ka shikar hota hai aam aadmi.inke paas nyay pane ka koi rasta nahin hai.ve kashtaprad jeewan jeete hain.khud vichar karen ki itni arajakta aur samasyaen hon wahaan kaise raha ja sakta hai.aayen ham ekjoot jokar ispar vichaar karen aur sahi loktantra ko sthapit karen.
Monday, January 24, 2011
ganatantra divas: chand sawal
Posted by pandeyhariram at 9:41 PM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment