CLICK HERE FOR BLOGGER TEMPLATES AND MYSPACE LAYOUTS »

Sunday, January 23, 2011

Telangana ki dhamak darjeeling mein

Te1langana ke masle ne desh ke anya bhagon mein andolan ko hawa de di hai.darjeeling mein hal mein 26 dino ka band is disha mein spasht sanket hai. is band ke samay joi ghoshna ki gayee thi wah ekdam saaf thiu. andolan karion ne sarkar se mang ki thi ki wah shri krishna samiti ki rapat ke aolk mein telangana ke bhavishya ke prati apna rukh spashat kare.yah is baat ka saaf sanket hai ki samiti ne sarthak swayatata ko dhyan meinrakh kar apni rapat di hai.gorkha jan mukti morcha ke netritwa par uske karyakartaon ka lagatar dsaqbav badhta ja raha hai ki we prithak gorka land rajya ke bare mein unka kya rukh hai.isne kendra sarkar aur rajya sarkar se apni varta mein thoda lachila pan barta hai darjeeling ke litye swayat ksetra ki sambhavnaon ki talash kar saken.tino paksha sambhavtah darjeelig gorkha hill konsil (DGHC)ko badal dene me4in sahmat ho gaye hain. DGHC ka gathan 1988 mein kiya gaya tha aur indino yah ab sarkar chahati hai k nishkriya hai.varta ka antim daur pichle saal decembar mein hua tha aur usme morcha netritva wahan sthaniya nikay ke cuhunav karwane ke liye taiar ho gaya tha. yah ek badi badha thi jo door ho gayee.isme ek aur badha wah ki morcha chahta hai ki uttar bengal ke tarai aur dooars ilake mein jo gorkha bahul ilake hain unhe isme shamil kar liya jaye.lekin is ksetra ke anya dal tahta sarkar iske poori tarah khilaf hai. kaha jata hai ki kendra sarkar morcha ko adhikar dene ke pahle aabadi ke dave ki jaanch karna chahti hai.
abhi tak kendriya mantrimandal ki surksha samiti ki manjoori nahi mili hai aur is karan morcha netaon mein gussa badh raha hai. hal ki hi baat hai ki morcha ne subhash ghishing ninda yah karte hue ki thi ki isne parvatiya parishad ke karan rajya ki maang ko cchod diya. morcha ke neta dare hue hain ki kahin dubara yahee hashra na ho isliye we chahte hain ki adhikarprapt khsetrye pradhikaran ke anantar rajya ka darja pradan ho.chunki yah darjeeling band par jor de raha hai to ise samajhna chahiye ki algavvad ki mang ko hawa dene ke doosre bhi khatarnak parinam ho sakte hain.

0 comments: