Ayodhya par faisala aa gaya. Kafi intezar ke baad
Yqah nirnaya aaya. Isme jitney kjanooni pench the usase kahin jyada siyasui aur bhawatmak masla tha yah. Faisala bada hi vivekpurna aur sabke pasand ka kaha ja sakta hai. Iskew bavzood agar kisi ke man mein koi durbhavna aati haiu to yah hamari bharttiya sanskriti aur mishrit samaj vyavastha ke pratikool hai.yah faisala bhartiya loktantara ke puri tarah anooroop hai. ‘
Wo kahte hain tumhara hai
Jara tum ek nazar dalo,
Who kahte hain , badho mango
Jaroori hai na tum talo
Magar apni jaroorat hai bilkul alg hai isase,
Thaharo hame saancho mein na dhlo.
Is faisle ko lekar pura desh sahma sahma sa tha.ab jo nirnay hua hai use rajnitigya saanp sidhi ka khel na banaye. Hame rj dekhna hai ki hamare desh lok taqntrik vyavaswtha ke tahat adalat ka samman hai.hamare deshg mein dharma nirpekshta aur lok tantra ki baat keval samvidhan ke antargat hi nahi hai, balki ham ise apne jeewan mein bhi charitartha karte hai.Hame dunia ko dikhana hai ki ham sabse pahle is desh ke nagrik hain.ham hindu ya musalman hone ki sharton se alag sabse pahle bharatvasi hain. Yahanb yah cxharcha bhi behad jaroori hai ki ek aam bharatvasi ke jeevan mein ramjanambhoomi ya babri masjid ka utna mahtva nahi hai jitna kai aur chijon ka.
Hame phursat kahan hai roti ki golai ke chakkar se
Na jane kiska mandir hai, na jane kiski masjid hai
Na jane kaun uljhata hai seedhe sachche dhaga ko
Pichle char sau varshon mein desh mein jitney bhi sarethak aur rachnatmak prayas hue hain we sab mel milap aur sadbhavna ki najeerein hain. Apni TRP badhane ke chakkar mein padi electronic media ki nazar itni kamjore kyon hai ki use yah nahi dikhta kin a keval ayodhya ya faizabaad ka judwan shar balki sara bhartiya samaj ki aapsi sadbhavna mein paryapt namak aur chini hai.
Ham bhartiyon ko bar bar shapath patra ki shala mein yah batane jaroorat hargiz nahi hai ki ham ek hain. Vaise kathit roop mein tarakki pasand paschimi chasma pahane logo ko hamari yah sadbhavna raas nahi aati. We kisi keemat par goswami tulasi das aur meer Anis ke samanvit spandan ko mahsoos nahi kar sakte.
Agar hindu aandhi hain aur musalman toofan hain
To aao dono yaar mil kar kuch naya kar lein
To aao ek nazar dalein kai aham se sawalon par
Kai kone andhere hain,mashalei diya kar lein.
Thursday, September 30, 2010
ayodhya
Posted by pandeyhariram at 6:44 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment