Abse kmoi do dashak pahale vivadit dhaancha gira diya gaya tha. Us samay kuch gyan gumaniyon ne, jisme dono sampradayon ke log shamil the, ne cheekh – cheekh kar kaha ki bhgarat ka samajik itihas badal gaya. Yanee dhanch vidhwans ke pahle ka bhareat aur baad ka bharat. Itihas do kaal khandon mein vibhjit ho gaya. Ab ham kah sakte hai ki itihas ke do aur kal khand ban gaye hain. Pahlka faisale ke purv ka bharat aur doosra paschat ka bharat. Porva ka bharat jisme sansani thi , ek sahma sa bhav thga , ek bhayakrant chuppi thi. Faisale ke baad ke is desh mein aur kuch nahi to ek ashwasan to hai hi.
Halanki yah faisala sthai to nahin hai.kyoki vivad ka yah mudda tha hi nahi ki ramlala kidhar the, sita ki rasoi kahan thi aur masjid kahan thi, balki mnasla to yah tha ki us bhookhand ka malik kaun hai. Adalat ke faisale kaa aadhar aastha hai. Hindutva ko manane walon ke liye yah ek bahut badiu safalta hai. Isase unke andolan par nyay ki muhar lag gayee. Halanki is eek najar dekhne se hi lagta hai nyayadheesh mutmayeen nahin hai, unke man mein sanshay jaroor hai.
Masalhat amej hote hain siyasat ke kadam
Tu nahin samjhega siysat tu abhi nadan hai.
Jahan tak rajnitik partyon par is nirnay ka sawal hai to wah abhi pata nahin chalega.kyoki samaj vyavastha maulik parivartan ke baad is masle mein 90 wali garmahat to rahi nahin.itna jaroor hai ki is faisale ke baad bharat ke astitva, kanoon aur samvidhan ki saakh jaise sawal samne aa gaye. Aaj hamare desh ka samnajik dhancha pahle se jyada majboot ho gaya hai.logon mein wah pahle wala aakrosh nahin hai. Vaise kuch vishleshko ka anuman hai dono sampradayon ke kattarpanthi takaton ko isase bal milega, par vartman samajik dhaanche ko dekhte hue yah sochna galat hoga ki chand takaten 19921 ka manjar paida karne ki koshish karengi. Kattarpanthi taka0n ko yah maloom hai ki moblijeshan ki unki chhamta kamjor pad gayee hai. Yahee karan hai ki faisale ke baad un takaton ne koi aakramak tewwar nahin apnaya. Aaj ke samaj mein ek samajhdari vikasit hui hai. Yahan samaj se matalab hindu aur musalman dono hai. Isi liye faisale ko lekar kuchh halakon mein nirasha ke bavjood aakramakta nahin hai.samaj mein udarta rach bas chuki hai aur sab log aman chahate hain. Logon ko apne desh par bharosa badha hai.
Ye sach hai ki paon ne bahut kasht uthaye
Par ye paon kisi tarah to rah par to aye
Sunday, October 3, 2010
Faisal eke baad ka bharat
Posted by pandeyhariram at 7:45 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment